Monday, 29 January 2018

Hazar dukh mujhe dena magar khayal rahe

Hazar dukh mujhe dena magar khayal rahe
Mere Khudaya mera hausla bahal rahe

Aana ki jang mein hum jeet to gaye lekin
Phir us ke bad bari dair tak nidhal rahe

Monday, 15 January 2018

Kabhi Sahar To Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se

Kabhi Sahar To Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se

Mujhe Khabar Na Hui Aur Zamaana Jaate Howe
Nazar Bachaa Ke Tera Naam Le Gaya Mujh Se

Usse Ziada Zarorat Thi Ghar Basane Ki
Wo Aake Mere Dar o Baam Le Gaya Mujh Se

Bhala Kahan Koi Juz us ke Milne Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam Le Gaya Mujh Se

Bas Ik Lamhay Ke Sach Jhoot Ke Aiwz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le Gaya Mujh Se

Labon Pe Geet Tou Aankhon Main Khawab Rakhte The

Labon Pe Geet Tou Aankhon Main Khawab Rakhte The
Kabhi Kitaboon Main Hum Bhi Gulaab Rakhte The

Kabhi Kisi Ka Jo Hota Tha Intazar Hamain
Bara Hi Shaam o Sahar Ka Hisaab Rakhte The

Insan ka sab se acha dost Allah hai

Insan ka sab se acha dost Allah hai
Bohat jaldi maan jata hai
Porani batein yaad nahi karwata
Apne pas se kabhi wapis nahi lota ta

Mohsin meri lehad mein woh manzar ajeeb tha

Mohsin meri lehad mein woh manzar ajeeb tha

Jab mein ne khud Ali se kaha Ya Ali madad

Sunday, 14 January 2018

Aag Ho To Jalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Aag Ho To Jalne Mein Der Kitni Lagti Hai
Barf Ko Pighalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Chahe Koi Ruk Jaye Chahe Koi Reh Jaye
Qafilon Ko Chalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Chahe Koi Jaisa Bhi Hamsafar Ho Sadiyon Se
Rasta Badalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Ye To Waqt Ke Bas Mein Hai Ke Kitni Mohlat De
Warna Bakht Dhalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Mom Ka Badan Lekar Dhoop Mein Nikal Aana
Aur Phir Pighalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Soch Ki Zaminon Mein Raste Juda Hoon To
Door Ja Nikalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Us ke nazdeek gham e tark e wafa kuch bhi nahin

Us ke nazdeek gham e tark e wafa kuch bhi nahin
Mutmayin aesa hai jese howa kuch bhi nahi

Ab to hathon ki lakeeren bhi mitti jati hain
Uss ko kho kar to mere pas raha kuch bhi nahi

Kal bicharna hai to phir ehd e wafa soch ke bandh
Abhi aaghaz e mohabbat hai gaya kuch bhi nahi

Main to is waste chop hoon ke tamasha na bane
Tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahi

Ae Shumaar Ankhein isi tarah bichaye rakhna
Jane kis waqt woh aa jaye pata kuch bhi nahi

Saturday, 13 January 2018

Hausla Haar Ke Bethoon Ga To Mar Jaon Ga

Manzilen lakh kathan ayen guzar jaon ga
Hausla Haar Ke Bethoon Ga To Mar Jaon Ga

chal rahe the jo mere sath kahan hain woh log
Jo yeh kehte the ke raste mein bikhar jaon ga

Darbadar hone se pehle kabhi socha bhi na tha
ghar mujhe raas na aaya to kidhar jaon ga

Yaad rakhe mujhe duniya teri tasveer ke sath
Rang aese teri tasveer mein bhar jaon ga

Lakh roken yeh andhere mera rasta lekin
Main jidhar roshni jaye gi udhar jaon ga

Raas aayi na mujhe mohabbat warna saqi
Main ne socha tha ke har dil mein utar jaon ga

jo maza talab mein hai

jo maza talab mein hai

Hasil mein kahan

Usay yeh shikwa ke main usay samajh na saki

Usay yeh shikwa ke main usay samajh na saki

Aur mujhe ye maan ke main janti faqt usi ko thi

Bichar ke rah-e-ishq mein is kadar howe tanha

Bichar ke rah-e-ishq mein is kadar howe tanha

Thake tanha
Giray tanha
Uthe tanha
Chale tanha

Wednesday, 10 January 2018

Wo Jo Aa jate The Aankhon Mein Sitare Le Kar

Wo Jo Aa jate The Aankhon Mein Sitare Le Kar
Jane Kis Dais Gaye Khawab Humare Le Kar

Chaon Mein Bethne Wale Hi To Sub Se Pehle
Pair Girta Hai To Aa Jate Hain Aarey Le Kar

Wo Jo Aasoda Sahil Hain Inhain Kia Maloom
Ab K Mouj Aai To Palte Gi Kinara Le Kar

Aesa Lagta Hai Ke har Mosam- E-Hijran Mein Bahar
Hont Rakh Deti Hai Shakhon Par Tumhare Le Kar

Shehar Walon Ko Kahan Yaad Hai Wo Khawab Farosh
Phirta Rehta Tha Jo Galion Mein Ghubare Le Kar 

Tum se roz kinara karna Kaise yaar gawara karna

Tum se roz kinara karna
Kaise yaar gawara karna

Chahe jaag ko tum rakh lena
Usko mehas hamara karna

Is dil ki to adaat tum ho
Har pal tumhain pokara karna

Tere bin ab reh nahi sakte
Hai dushwar guzara karna

Rakh doon ga main jaan qadmon mein
Bas tum eik ishara karna

Tum aankhon mein aan base ho
Ab to roz nazara karna

Tum hi ho jeene ki hasrat
Tum hi mujh ko sahara karna

Ab tere naam hai sab kuch
Ab kia roz tumhara karna

Tuesday, 9 January 2018

Jo lahasil ho us se Mohabbat nahi Ishq hota hai

Jo lahasil ho us se Mohabbat nahi Ishq hota hai

Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay

Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay
Hum teri ankh se hijrat nahi krne walay

Apne Nazdeek mohabat hai ibadat ki tarha
Hum ibadat ki tijarat nahi krne walay

Ye alag baat hai k izhaar nahi kar sakte
Ye na samjho mohabat nahi karne walay

Kaat kar phaink de sar chahe saja naizay par
Hum tere haath pe Baiat nahi karne walay

Hakim-e-waqt Zara apne Garebaan mein jhank
Log Bewajha Baghawat Nahi Karne Walay

Sunday, 7 January 2018

Tuesday, 2 January 2018

is tarhan dil k zard aangan mein

is tarhan dil k zard aangan mein
Teri yadoon ke daagh jalte hain

Jaise aandhi mein toti kabron par
Sehme sheme charagh jalte hain