Showing posts with label Mohabbat Poetry. Show all posts
Showing posts with label Mohabbat Poetry. Show all posts

Wednesday, 10 January 2018

Tum se roz kinara karna Kaise yaar gawara karna

Tum se roz kinara karna
Kaise yaar gawara karna

Chahe jaag ko tum rakh lena
Usko mehas hamara karna

Is dil ki to adaat tum ho
Har pal tumhain pokara karna

Tere bin ab reh nahi sakte
Hai dushwar guzara karna

Rakh doon ga main jaan qadmon mein
Bas tum eik ishara karna

Tum aankhon mein aan base ho
Ab to roz nazara karna

Tum hi ho jeene ki hasrat
Tum hi mujh ko sahara karna

Ab tere naam hai sab kuch
Ab kia roz tumhara karna

Sunday, 19 November 2017

Mukammal do he danoo per yeh Tasbeeh e Mohabbat hai

Mukammal do he danoo per yeh Tasbeeh e Mohabbat hai
Jo aaye teesra dana ye Dori toot jaati hai

Muqarrar waqat hota Mohabbat ki Namazon ka
Adaa jin ki nikl jaye. Qazaa bhi choat jati hai

Mohabbat ki Namazon mein imamat aik ko soanpo
Issay taknay. Usay taknay se Niyyat toot jati hai

Mohabbat dil ka Sajda hai jo hai Tauheed per qayem
Nazar k Shirk kerne se Mohabbat rooth jati hai

Sunday, 12 November 2017

Thehri Thehri Si Tabiyat Mein Rawaani Aai

Thehri Thehri Si Tabiyat Mein Rawaani Aai
Aaj Phir Yaad Mohabbat Ki Kahaani Aai 

Aaj Phir Neend Ko Aankhoon Se Bicharte Dekha 
Aaj Phir Yaad Koi Choat Puraani Aai 

Muddaton Baad Un Pe ChaLa Hamaara Jaado 
Muddaton Baad Humain Baat Banani Aai 

Muddaton Baad Pasheman Huwa Darya Hum Par 
Muddaton Baad Humain Piyaas Chupaani Aai 

Muddaton Baad KhuLi Wusat e Sehraa Hum Par 
Muddaton Baad Humain Khaak Urrani Aai 

Itni Aasani Se Nahi Milti Fun Ki Doalat 
Dhal Gai Umer Tu Ghazlon Pe Jawani Aai

Monday, 6 November 2017

Aaj baad muddat k Main ne usko dekha hei

Aaj baad mudat k
Main ne usko daikha hei
Woh zara nahi badli
Ab bhi apni aankhon mein
So sawal rakhti hei
Choti choti batoon par
Ab bhi khul k hansti hei
Ab bhi uske lehjay mein
Wohi khankhanahat hei
Woh zara nahi badli

Ab bhi uski palkon k
Saaye geelay rehte hein
Ab bhi uski sochon mein
Mera naam rehta hei
Ab bhi meri khatir woh
Ussi tarah he pagal hei
woh zara nahi badli

Aaj baad muddat k 
Main ne usko dekha hei
Tu mujhe bhi lagta hei
Main bhi uski chahat mein
Ussi tarah he pagal hon
Baad itni mudat k
Aur kuch nahi badla
JUZ HAMARE RASTON K
Aur kuch nahi badla

Thursday, 2 November 2017

Jhoot chere pe sajana nahi aaya mujh ko

Jhoot chere pe sajana nahi aaya mujh ko
Zindagi tujh ko batana nahi aaya mujh ko

Reh k duniya mein bhi seeki nahi duniya dari
Kar k ehsan jatana nahi aaya mujh ko

Duniya theater hai to nakam adakar hoon main
Koi kirdar nibhana nahi aaya mujh ko

Eik hi shaks ki khowaish mein raha sarkardan
Darbadar khak uraana nahi aaya mujh ko

Lutf to tab tha wo khud karta mohabbat mehsos
Keh kar ehsas dilana nahi aaya mujh ko

Kuch to ye dil bhi hai tanhai pasand aur is par
Umar bhar dost banana nahi aaya mujh ko

Tu samajta hai main tark e talluk se hoon khush
Rothne wale manana nahi aaya mujh ko