Monday, 6 November 2017

Aaj baad muddat k Main ne usko dekha hei

Aaj baad mudat k
Main ne usko daikha hei
Woh zara nahi badli
Ab bhi apni aankhon mein
So sawal rakhti hei
Choti choti batoon par
Ab bhi khul k hansti hei
Ab bhi uske lehjay mein
Wohi khankhanahat hei
Woh zara nahi badli

Ab bhi uski palkon k
Saaye geelay rehte hein
Ab bhi uski sochon mein
Mera naam rehta hei
Ab bhi meri khatir woh
Ussi tarah he pagal hei
woh zara nahi badli

Aaj baad muddat k 
Main ne usko dekha hei
Tu mujhe bhi lagta hei
Main bhi uski chahat mein
Ussi tarah he pagal hon
Baad itni mudat k
Aur kuch nahi badla
JUZ HAMARE RASTON K
Aur kuch nahi badla

No comments:

Post a Comment