Monday, 12 March 2018

Aadhe Aadhe Jo Bhi Kiye The Sare Kaam Fazool Gaye

Aadhe Aadhe Jo Bhi Kiye The Sare Kaam Fazool Gaye
Subha Hoi To Yaad Aaye Tum... Sham Hoi To Bhool Gaye

Barish Aur Tumhara Ghum Mashroot Howa Hai Muddat Se
Dor Kahin Par Badal Barse... Aankh mein Aansoo Jhool Gaye

Jin sarrkon Par Khushi Khushi Hum Gantoo Tere Sath Chale
Tere Bad Hum Un Sarrkon Se... Sari Umar Malol Gaye

Yaad Hai Us Din Dono Mil Kar Kitni Dair Hanse The Jab
Tune Jhooti Tarifein Ki... Hum Danista Phool Gaye

Dil sabar ke mimbar par bithaya ke Khuda hai

Dil sabar ke mimbar par bithaya ke Khuda hai
Aur sukar ko aezaz banaya ke Khuda hai

Eik sajde se tabdil kia Shah ne manzar
Tab Moat ne andaza lagaya ke Khuda hai

Wo sajda to aesa howa... Allah wo sajda
Jab samne aesay nazar aaya ke Khuda hai

Hai aaj talak zinda o javed shahadat
Tum ab to samajh jao khudaya ke... Khuda hai

Sunday, 11 March 2018

khof hota na kabhi sath choot jane ka

khof hota na kabhi sath chot jane ka
kash darya ka koi eik kinara hota

us ke jazbon mein tha har shaka ka hissa warna
woh kisi eik ka hita to hamara hota

Is ki palkon pe koi Khawab saja rehne de

Is ki palkon pe koi Khawab saja rehne de
Habas barh jaye ga is dar khula rehne de

Mere malik tu bhale cheen le goyai meri
Mere honton peh faqat aik Dua rehne de

Mere khawabon ko bhatkne se bachane ke liye
Shab ki dehleez peh yadon ka dia rehne de

Be rukhi hi tere mujrim ke liye kafi hai
Us se munh mor le koi aur saza rehne de

Chand ban kar tere kamre mein uter aayon ga
Aaj ki raat to khirki ko khula rehne de

Baad Muddat Usay Dekha Logo

Baad Muddat Usay Dekha Logo
Wo Zara Bhi Nahi Badla Logo

Khush Na Tha Mujh Se Bhichar Kar Wo Bhi
Us K Chehre Par Likha Tha Logo

Us Ki Aankhein Bhi Keh Deti Thein
Raat Bhar Wo Bhi Nahi Soya Logo

Ajnabi Ban K Jo Guzra Hai Abhi 
Tha Kisi Waqat Wo Apna Logo

Dost To Khair Koi Kis Ka Hai
Us Ne Dushman Bhi Na Samjha Logo

Raat Wo Dard Mere Dil Mein Utha 
Subha Tak Chain Na Aaya Logo

Pyas Sehraon Ki Phir Teiz Hoi
Abar Phir Toot K Barsa Logo