Tuesday, 1 May 2012

Kaash wo ek moka deta Mujhe Baat karne ka.

Kaash wo ek moka deta Mujhe Baat karne ka.



Main Usay bhi Rula deti Us k Sitam suna-suna kar.

Saath dena hai To dey, Chor k jana hai To ja,

Saath dena hai To dey,

Chor k jana hai To ja,



Tu izaafa To na kar , Meri pareshaani mein.

Ussy Muhabbat Kahan Thi, Bas Dil Lagi Thi.

Ussy Muhabbat Kahan Thi, Bas Dil Lagi Thi.



"wasi"



Warna Mera Pal Bhar Ka Bichrna Us K Liye Azaab Hota.

Monday, 30 April 2012

Hai Ekhtiaar Me Tere To Mojazaa Kar De.

Hai Ekhtiaar Me Tere To Mojazaa Kar De.



Wo Shakhs Mera Nahi Hai Ose Mera Kar De.

Aarsh Wale Meri Toqeer Salamat Rakhna.

Aarsh Wale Meri Toqeer Salamat Rakhna.



Farsh K Saray Khudaon Se Ulajh Batha Hon.

Agr Tum jo ijaazat do,

Agr Tum jo ijaazat do,



to chand Lafzon me keh dalain,



k Tum Bin Mar To Sakte Hain.



"TUM BIN jee NAHIN SAKTE.

Ik Yehi Roshni Imkaan Me Hai.

Ik Yehi Roshni Imkaan Me Hai.



TU Abhi Tak Dil-e-Veeran Mein Hai.



Shor Barpa Hai Teri Yaadon Ka.



Ronaq-e-Hijr Bayabaan Mein Hai.



Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hai.



Koi Zinda Dil Be-Jaan Mein Hai.



Aaj Bhi Tere Badan Ki Khushbu.



Tere Bhaijay Howay Guldaan Mein Hai.



Zindagi Bhi Hai Meri Aankhon Mein.



Mout Bhi Deeda-e-Hairaan Mein Hai.



Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se.



Ik Qaidi Abhi Zindaan Mein Hai.

Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha.

Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha.



Aansoo baha kr mjhe manaya krta tha.



Ye zindagi sirf tum se wabasta hai.



Aksar ye baat mjhe bataya karta tha.



Us ki baton mein kuch aisa asar tha.



Mein barish k bina he bheeg jaya karta tha.



Soney ki fursat kis ko thi.



Wo mjhe sari raat jagaya karta tha.



Bechaini jab had se barh jati the.



Wo ji bhar k galae lagaya karta tha.



Wo itni Muhabbat krne wala badal gaya.



Jo sath nibhane ki qasam khaya karta tha.

Usny Tora tha mera dil us se koi shikayat nahi,

Usny Tora tha mera dil us se koi shikayat nahi,



Ye Usi ki Amanat thi usy acha lga so Tor diya.

Hanste hain yun hi hans kr rula jate hain log

Hanste hain yun hi hans kr rula jate hain log



Milte hain yun hi mil kr juda ho jate hain log"



"Pal do pal ki Mohabbat ko umar bhar ka sath na samjhna.



Muhabat b karte hen or khafa b hojate hen log.



Naseeb me pyar na tha jo mujhe mila hi nhi.



Kar k izhar-e muhabt beparwaah hojatey hen log.



Ab kis se karen Shikwa.

Apni qismat ka.

....wisi..



Kar k vaadey wafaa k bewafaa hojate hen log..

Sunday, 29 April 2012

Tum Se Mumkin Ho Tu Phir Rok Do Saansain Meri.

Tum Se Mumkin Ho Tu Phir Rok Do Saansain Meri.



Dil Jo Dharkay Ga Tu Phir Yaad To Tum Aao Gay.

Uthaa Kar Dil Mera Oss'nay.

Uthaa Kar Dil Mera Oss'nay.

Wahee'n Pathar pay Dey Maara.



Main Kehta hii raha daikho.

Mera Dil Hai.

Mera Dil Hai.

Bohat muddat se aisa hai,

Bohat muddat se aisa hai,



K wo khamosh rehta hai.



Koi gehra hai ghum shayad,



Jise chup chap sehta hai.



Youn hi chalte hue tanha,



Koi ghamgheen sa nagma.



Wo aksar gungunata hai,



Milaye nazron se jab nazrain.



To baatain bhool jata hai,



Kabhi bethe hue tanha.



Ya phir barish k mausam me,



Faqat itna hi kehta hai.



Udaasi be-waja si hai,



Bohat bojhal tabiyat hai.



Bhala sach q nahi kehta,





Usay Mujh Se MUHABAT Hai.

MUJHY ACHA SA LGTA HAI

Mujhy acha saa lagta hai.



Tumhary sang sang chalna.



wafa ki aag men jalna.



Tumhen naraaz kar dena.

kabhi naraaz h0 jana.



Tumhari be-rukhi par bhi.

Tumhari aarzu karna.



khud apny dil ki dharkan sy.

Tumhari guftug0 karna.





===MUJHY===

ACHA SA LAGTA HAI



Tumhi k0 dekhty rehna.



Tumhi k0 s0chty rehna



b0hat gehry khayaal0n me.

jawaab0n me.

sawaal0n me.

m0habbat k hawaal0n me.

Tumhary naam ka aana.



MUJHY ACHA SA

LGTA HAI

Woh Samajhta Hai K Har Shakhs BadaL Jata Hai.

Woh Samajhta Hai K Har Shakhs BadaL Jata Hai.



Usay Lagta Hai Zamana Us K Jaisa Hai.

Tere Hath Ki Main Wo Lakeer Ban Jaon

Tere Hath Ki Main Wo Lakeer Ban Jaon



SirF Main Hi Tera Muqadar Teri Taqdeer Ban Jaon



Main Tujhe Itna Chahun K Tu Bhool Jaye Her RiShta



SirF Main Hi Tere Her RiShte Ki TaSweer Ban Jaon



Tu Aankhain Band Kare To Aaon Main Hi Nazar



IS Tarha Main Tere Her Khawab Ki Tabeer Ban jaon.

Qabool-e-Jurm Karte Hain, Tumhare Qadmon Me Gir K,

Qabool-e-Jurm Karte Hain, Tumhare Qadmon Me Gir K,,



"Jaan"



"Saza-e-Mout Hai Manzoor, Magar Teri Judai Nhi.

Hum Be-parva Hi Sahi Mager Hain To Ap k,

Hum Be-parva Hi Sahi Mager Hain To Ap k,



Zindagi G



Aadat Ki Baat Or Hai Hum Dil K Bure Nai,

Saturday, 28 April 2012

Mumkin jo agar hota,

Mumkin jo

agar hota,





Hum Tum ko

bhula detay,





Yaadon ko

kafan dey kr,





Be waQt

sula detay,





Tanhai mein

jee letey,





Tum ko na

sada detay,





Iss Dil sey

Tere Dil tak,





Deewaar

uthha detay,



mumkin hi

nahi warna,



Hum Tum ko

bhula detay..

Shararat Le kr Aankhon mein , wo uska Dekhna Tauba.

Shararat Le kr Aankhon mein , wo uska Dekhna Tauba.





Main Nazr'on pe Jami Nazr'ein , jhukaana BhooL Jaati hoon.

Koi Pouch Raha Hai Mujh Sy, Meri Zindagi Ki Qeemat.

Koi Pouch Raha Hai Mujh Sy, Meri Zindagi Ki Qeemat.



Mujhe Yaad Aa Raha Hai, Tera Halka Sa Woh Muskurana .

Qurban Ho Jaun Us Shakhs K Hathon Ki Lakeeron Par.

Qurban Ho Jaun Us Shakhs K Hathon Ki Lakeeron Par.



Jis Ne Tujhe Manga Bi Nahi aur Tujhe Apna Bana Liya.

Hum Jala K Baithy Hai Sahil Pa Khashtian Is Liye Apni.

Hum Jala K Baithy Hai Sahil Pa Khashtian Is Liye Apni.



K Jab Muhabbat Me Nikal Aye Tu Wapsi Mumkin Nhi

Apni Mohabbat Pe Faqat Itna Bharosa Hai.

Apni Mohabbat Pe Faqat Itna Bharosa Hai.





Meri Wafayen Tujhey Kisi or Ka Honey Nahi Dein Gi .

Tum Rooth Jao Mujhse Aisa Kabi Na Karna.

Tum Rooth Jao Mujhse Aisa Kabi Na Karna.



Main Ik Nazar Ko Tarsaon Aisa Kabi Na Karna.



Main Pooch Pooch Haroon So So Sawal Kar K.



Tum Kuch Jawab Na Do Aisa Kabi Na Karna.



Mujhse Hi Mil K Hasna, Mujhse Hi Mil K Rona.



Mujhse Bichar K Jee Lo Aisa Kabi Na Karna.



Tum Chand Ban K Rehna, Main Dekhti Rahon gai.



Kisi Roz Tum Na Niklo Aisa Kabhi Na Karna.



Tum Chale Jao Jab Bhi, To Dekhoon Tumhara Rasta.



Tum Lot K Na Aao Aisa Kabhi Na Karna.

Dikhayi Bhi Nahi Deta kisi insaan ki Aankho ko,

Dikhayi Bhi Nahi Deta kisi insaan ki Aankho ko,





Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do Tum,

Mila to aur bhi Taqseem ker Gaya Mujh ko,

Mila to aur bhi Taqseem ker Gaya Mujh ko,



Sametni Theen jisy Meri kirchiyan "Mohsin"

Chahat Teri chhupa k jiye ja rahi hun main,

Chahat Teri chhupa k jiye ja rahi hun main,



khud ko hasin fareb diye ja rahi hun main,



Tu bewafa hai phir bhi mera honsla to dekh,



Tujh pe wafa nisar kiye ja rahi hun main,



bharke Tere daman mai musarrat ki kahkashan,



saugat aansuo ki liye ja rahi hun main,



ruswa na ho jaye Tu is jahan mai isliye,



honto ko apne khud hi siye ja rahi hun main,



Murat Teri Tarash kar poojungi isliye,



pathar Teri gali ka ek liye ja rahi hun main�

Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain.

Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain.



Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain.



Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho.



Osi ki aarzo main hum zamana bhool jatay hain.



Chhupa kar baith jatay hain naseebon ka diya zaiwer.



Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain.



Bas apni zaat main kho kar apna hi ziker karna.



Kisi doojay ka koi gham othhana bhool jatay hain.



Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main.



Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain.



Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko.



Khatam karkay wafa'on ka zamana bhool jatay hain.



Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main.



Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain.



Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ki halat ko..



Magar apni khata'on ko dikhana bhool jatay hain.



by Shaukat Ali Khan

Wo Kon Log Thai

Wo Kon Log Thai Jinhe Sacha Pyar Mila Dunya Mai. . . .



Hame To Nafrat Hi Mili Sare Zamane Se. . .