Tuesday, 28 November 2017

Punjabi Couple Images Download for 2 Lines Poetry

You have perfect Urdu 2 lines poetry but could not any perfect image to post with these beautiful Urdu Shayari. Here is the best Punjabi Couple Images Download for 2 Lines Urdu Poetry on Facebook, Twitter, or Pinterest. Beautiful Punjabi girl Couple images for are here to create a beautiful post as you want on your social media profile and I hope Its also attractive your Facebook page. So see

Tuesday, 21 November 2017

Latest 2018 Urdu Love Poetry Collection

Latest 2018 Urdu Poetry Collection is ready to express your emotion in 2018. Here is the most awesome 2 lines Shayari Images collection that I present with new special design to share with your beloved and others on Facebook, Twitter WhatsApp etc.
Yeah, these are the best and most famous love poetry in Urdu which you can�t find anyplace else. Yes, it's true that you can�t see these love Shayari

Sunday, 19 November 2017

Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi

Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi
Main Apane Haath Se Us Ki Dulhan Sajaungi

Supurd Kar Ke Use Chaandani Ke Haathon Mein
Main Apane Ghar Ke Andheron Mein Laut Aongi

Badan Ke Karb Ko Woh Bhi Samajh Na Payega
Main Dil Mein Roungi Aankhon Mein Muskuraungi

Woh Kyaa Gayaa Ke Rafaqat Ke Saare Lutf Gaye
Main Kis Se Routh Sakuungi Kise Manaungi

Woh Ek Rishtaa E Benaam Bhi Nahi Lekin
Main Ab Bhi Us Ke Ishaaron Pe Sar Jhukaungi

Bichha Diya Tha Gulaabon Ke Saath Apana Wajood
Woh So Ke Uthe To Khwaabon Ki Raakh Uthaungi

Ab Us Ka Fan To Kisi Aur Se Manasob Hua
Main Kis Ki Nazm Akele Men Gun Gunaungi

Javaz Dhuundh Raha Tha Nai Muhabbat Ka
Woh Keh Raha Tha Ke Main Us Ko Bhool Jaungi

Mukammal do he danoo per yeh Tasbeeh e Mohabbat hai

Mukammal do he danoo per yeh Tasbeeh e Mohabbat hai
Jo aaye teesra dana ye Dori toot jaati hai

Muqarrar waqat hota Mohabbat ki Namazon ka
Adaa jin ki nikl jaye. Qazaa bhi choat jati hai

Mohabbat ki Namazon mein imamat aik ko soanpo
Issay taknay. Usay taknay se Niyyat toot jati hai

Mohabbat dil ka Sajda hai jo hai Tauheed per qayem
Nazar k Shirk kerne se Mohabbat rooth jati hai

Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya

Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya
Payroon mein zanjireen dali hathon mein khaskol diya

Jab bhi ko inaam mila hai mera naam bhi bhool gaye
Jab bhi koi ilzaam laga hai mujh par laakar dhol diya

Haath ke chhale paaon ke kaante aankh main aansoo dil ka dard
Tune mujhko pyaar main jo bhi tohfa diya anmol diya

Ab ghum aayen khushiyaan aayen maut aaye ya tu aaye
Main ne to bas aahat paayi aur darwaza khol diya

Jitna khushi se rishtaa mera utna ghum se naata hai
Maine ek mizaan main apna saara dukh sukh tol diya

Ja k doshman se mere dosti pakki kar li

Ja k doshman se mere dosti pakki kar li

Ek hi raat mein bhai ne tarakki kar li

Rahe mehroom hum ye soch kar unchi urahno se

Rahe mehroom hum ye soch kar unchi urahno se
Hamare jisam ka parr se taluk toot na jaye

Aata mat kijiyo mujh ko jo main ne tujh se manga hai
Mere sar ka tere darr se taluk toot na jaye

Teri Awaz se pathar bhi pighal sakta hai

Teri Awaz se pathar bhi pighal sakta hai
Tu wo lamha hai jo sadyon ko nighal sakta hai

Mujh se mat poch mere dil ki lagi ka aalam
Mere ashqon se tera haath bhi jal sakta ahi

Teri meri yehi ek pehchan hai

Teri meri yehi ek pehchan hai
Main teri jaan hoon tu meri jaan hai

Kia meri jhopri kia ye tera mehal
Main bhi mehman hoon tu bhi mehman hain

Roshni ka kuch na kuch imkaan hona chahiye

Roshni ka kuch na kuch imkaan hona chahiye
Band kamre mein bhi roshandan hona chahiye

Wo jo anparr hain chalo hewan hain to theek hain
Hum paray likho ko to insaan hona chahiye

Hindo muslim chahe jo likha ho mathe par magar
Aap k seenay pe hindustan hona chahiye

Deepak jugnu chaand sitaare ek se hain

Deepak jugnu chaand sitaare ek se hain
Yani sare dard k mare ek se hain

Darya hoon mein bhed bhao ko kia jano
Mere liye to dono kinare ek se hain

Jis k dil mein tu hai Maula us k liye
Mandir Masjid Aur Gurdware ek se hain

Phoolon ne diye zakham to kanton se gila kia

Phoolon ne diye zakham to kanton se gila kia
Kia karna tha apno ne salok aur kiya kia

Jab haath mein shesha tha na sagar na meena
Gar dil nahi toota hai to phir chaan se gira kia

Tum ne jo mehakte howe ye sher kahe hain
Phir kocha e jana se koi zakham mila kia

Wo pochte phirte hain mere baray mein sab se
Ek mera bhi shayar hai usay tumne suna kia

Chale the aana thi k wo gehrat thi k kia tha
Jab farash tha makhmal ka to talwon mein chobha kia

Sheron mein kiraye ka makaan dhond rahe ho

Rone ki saza hai na rulane ki saza hai
Ye dard mohabbat ko nibhane ki saza hai

Sheron mein kiraye ka makaan dhond rahe ho
Ye gaon ka ghar chor k aane ki saza hai

Maza dekha miyan sach bolne ka

Tarap lein to kasar koi nahi hai
Magar us par asar koi nahi hai

Maza dekha miyan sach bolne ka
jidhar tum ho udhar koi nahin hai

Aate hain aane do ye toofaan kya le jaayen ge

Aate hain aane do ye toofaan kya le jaayen ge
Main to jab darta k mera hausla le jaayen ge

Jis zameen par main khara hoon wo meri pahchaan hai
Aap aandhi hain to kya aap mujh ko urh le jaayen ge

Aap bas kirdaar hain apni hade pahchaniye
Warna phir ek din kahaani se nikaale jaayenge

Tu samajta hai k rishton ki dhohai denge

Tu samajta hai k rishton ki dhohai denge
Hum to wo hai jo tere chahre se dikhai denge

Hum ko mehsos kia jaye hai khushbo ki tarhan
Hum koi shorr nahi hain jo sunai denge

Faisla likha howa rakha hai pehle se khilaf
Aap kia khaak aadalat mein safai denge

Wo meri peit mein khanjar zaror utare ga

Wo meri peit mein khanjar zaror utare ga

Magar nigha milegi to kaise maray ga

Lagta to bekhabar sa hun lekin khabar mein hoon

Lagta to bekhabar sa hun lekin khabar mein hoon
Teri nazar main hoon to main sab ki nazar mein hoon

Manzil ki wo kahin jinhe manzil ki ho talab
Mujh ko yehi bohat hai teri rehguzar mein hoon

Haadso ki zad pe hain to kya muskurana chor dein

Haadso ki zad pe hain to kya muskurana chor dein
Zalzalon ke khauf se kya ghar banana chor dein

Tumne mere ghar na aane ki Qasam khaayi to hai
Aansuyo se bhi kaho aankho mein aana chor dein

pyaar ke dushman ek baar pyaar se keh k to dekh
Aik tera dar hi kya hum to zamaana chor dein

Dard mandi k sabhi rishte dhare reh jayenge
Aansuyo ka bojh agar palken uthaana chor dein

Baarishen deewar dho dene ki aadi hain to kya
Is khauf se hum tera chehra banana chor dein

Mujh ko gunahgar kehe aur saza na de

Mujh ko gunahgar kehe aur saza na de

Itna bhi iktiyar kisi ko khuda na de

Kya dukh hai samandar ko bata bhi nahi sakta

Kya dukh hai samandar ko bata bhi nahi sakta
Aansoo ki tarah aankh tak aa bhi nahi sakta

Tu chor raha hai to khata isme teri kya
Har shakhs mera saath nibha bhi nahi sakta

Pyase rahe jaate hain zamane ke sawalaat
kis k liye zinda hoon bata bhi nahi sakta

Ghar dhoondh rahe hain mera raaton ke pujari
MAin hoon ki charaagon ko bhujha bhi nahi sakta

Waise to ek aansoo hi bahaa ke mujhe le jaaye
Aese koi toofan hila bhi nahi sakta

Wo Bulayen to kya Tamasha ho

Wo Bulayen to kya Tamasha ho
Hum na Jayen to kya Tamasha ho

ye Kinarun se Khelnay walay
Doob jayen to kya Tamasha ho

Banda parwar Jo Hum pe Guzri hai
Hum batayen to kya Tamasha ho

Aaj Hum bhi Teri Wafaon par
Muskurayen to kya Tamasha ho

Teri Surat jo Ittefaq se Hum
Bhool jayen to kya Tamasha ho

Waqat ki Chand Saatein Saghar
Loat aayen to kya Tamasha ho

Sunday, 12 November 2017

Thehri Thehri Si Tabiyat Mein Rawaani Aai

Thehri Thehri Si Tabiyat Mein Rawaani Aai
Aaj Phir Yaad Mohabbat Ki Kahaani Aai 

Aaj Phir Neend Ko Aankhoon Se Bicharte Dekha 
Aaj Phir Yaad Koi Choat Puraani Aai 

Muddaton Baad Un Pe ChaLa Hamaara Jaado 
Muddaton Baad Humain Baat Banani Aai 

Muddaton Baad Pasheman Huwa Darya Hum Par 
Muddaton Baad Humain Piyaas Chupaani Aai 

Muddaton Baad KhuLi Wusat e Sehraa Hum Par 
Muddaton Baad Humain Khaak Urrani Aai 

Itni Aasani Se Nahi Milti Fun Ki Doalat 
Dhal Gai Umer Tu Ghazlon Pe Jawani Aai

Hum Raat Bohat Roye

hum raat bohat roye bohat aah o faghan ki
dil dard se bojhal ho to phir neend kahan ki

sir zaano pe rakhe hue kya soch rahi ho
kuch baat samajhti ho mohabbat zadgan ki

tum meri taraf daikh k chup ho si gai theen
wo saat e khush waqat nishaat guzran ki

ek din ye samajhte thay k payan e tamanna
ek raat hai mahtaab k ayyam e jawan ki

ab aur hi auqat hai aay jaan e tamanna
hum nala kushan, begunah, ghum zadgan ki

is gher ki khuli chhat pe chamakte hue taaro
kehte ho kabhi baat wahan ja k yahan ki

bargashta hua hum se ye mahtaab to piyaro
bas baat suni raah chala kehkashan ki


Allah kare Meer ka jannat mein makan ho
marhom ne her baat humari hi bayan ki

parhte hain shab o roz isi shakhs ki ghazalen
ghazalen k hikayaat hain hum dil zadgan ki

tum charkh e chhaarum k sataye hue logon
taaraaj karo zindagiyan ehal e jahan ki

acha humen bante hue mitte hue dekho
hum mauj e gurezan hi sahi aab rawan ki

Insha se milo is se na roken ge lekin
is se ye mulaqat nikaali hai kahan ki

mashhor hai her bazam mein is shakhs ka sauda
baaten hain bohat shehar mein badnam miyan ki

aay dosto aay dosto! aay dard naseebo
galiyon mein chalo sair karen shehar e butan ki

hum jayen kisi sim't kisi chawk pe thehren
kahiyo na koi baat kisi sood o ziyan ki

Insha ki ghazal sun lo per ranjor na hona
dewana hai dewane ne ek baat bayan ki

hota hai yehi ishq mein hanjaar sabhi ka
baaten yehi dekhi hain mohabbat zadgan ki

Friday, 10 November 2017

Teri yaad roshni hai

Teri yaad roshni hai mera dil chamak raha hai
Tere zikar k golon se mera ghar mehak raha hai

Abhi aas hai Tumhari abhi mein mari nahi hoon
Abhi Saans chal rahi hai abhi dil dharak rahai hai

Ussy ye batao Do ghaz hi zameen ka hai wo malik
kai kothiyan bana k jo bohat behek raha hai

Na chal itna sar utha kar ye hayat muktasir hai
Kahin moat ka farishta teri raha tak raha hai

Tumhi aao to bache ga ye diya mohabbaton ka
Jisay tum jala gaye the wo palak jhapak raha hai

Mere Maseeha mein jee uthungi

Mere Maseeha mein jee uthungi duwain de de dawa se pehle
Hayat mein noor ban k aa ja ghamon ki kali ghata se pehle

Wo bewafa ho gaya hai phir bhi ussi ki yadoon mein ghom rahon gi
Ye kaise bholon k usne mujh se wafa bhi ki hai jafa se pehle

Jo chahte hain madad sabhi se zalil hote hain wo jahan mein
Nawazti hai unhi ko duniya jo mangte hain Khuda se pehle

Watan bachane ka waqat hai ye makaan bachane ki fikar choro
Mere bhi hathon mein de do parcham mere bhozorgo hina se pehle

Khatayen mujh se hoi hai lekin mujhe yaqeen hai tu bakhsh de ga
Main hashar k din pokar lon gi tere karam ko saza se pehle

jo hai naseeb mein wo kham nahi nikalta hai

Jo hai naseeb mein wo kham nahi nikalta hai
Hamare dil se tera ghum nahi nikalta hai

Sabhi ki piyas ko aezaz ye nahi milta
Sabhi ki aeri se Zamzam nahi nikalta hai

Kahan hai aa ja k main ab sakoon se marr to sakun
Tere bagair mere dam nahi nikalta hai

Wednesday, 8 November 2017

Best Sufi Poetry | Heart Touching Sufi Shayari

Read the best collection of Sufi Poetry in Urdu and Punjabi. Sufi Shayari has been written in various languages, But Punjabi is the one of most perfect for Sufi poetry. In this post, I'm sharing some great verses of a few great Sufi poets of Punjab.
So let's see the following heart touching Sufiyana poetry.































If you have liked this post then please share it on

Yeh Qafas Hi Mujh Ko Azeez Hai

Yeh Qafas Hi Mujh Ko Azeez Hai Yahan Jee To Loon Ga Qaraar Se 
Mujhe Ab Chaman Main Na Le Chalo Main Dara Huwa Hun Bahaar Se 

Ghum E Aashiqi Se Bhi Sakht Tha Gham E Zindagi Ka Maarka 
Jo Shikast Khaai To Ro Diya Main Lipat Ke Daaman E Yaar Se 

Main Kis Ka Karun Gila Hai Mera Naseeb Hi BeWafa 
Wohi Mujhse Karte Hain Dushmani Jinhen Dekhta Hun Main Pyar Se

Meri ummeed mera pyar meri aas raho

Meri ummeed mera pyar meri aas raho
Tum mujhe chor k mat jao mere pas raho

Rozi roti k liye apna watan mat choro
Jis ko seecha hai laho de k wo chaman mat choro

Ja k pardes mein chahat ko taras jao ge
Aesi beloas mohabbat ko taras jao ge

Phool pardes mein chahat ka nahi khilta hai
Eid k din bhi gale koi nahi milta hai

Main kabhi tum se karon gi na koi farmaish
Aesh o aaraam ki jagegi na dil mein khowaish

Fatima bibi ki bandhi hon bharosa rakho
Main tumhare liye jeeti hon bharosa rakho

Lakh dukh dard ho hans hans k guzar kar longi
Peat par band kar pathar bhi basar kar longi

Tum agar jao ge pardes saja kar sapna
Aur jab aao ge chamka k muqadar apna

Mere chere ki chamak khakh mein mil jaye gi
Meri zulfon se ye khushbo bhi nahi aaye gi

Heere aur moti pehen kar bhi na saj paongi
Surq jore mein bhi bewa si nazar aaongi

Dard e furqat ghum e tanhai na seh paongi
Main akeli kisi surat na reh paongi

Mere dhaman k liye bagh mein kante na chuno
Tum ne jane ki agar thanli dil mein to suno

Apne hanthon se mujhe zeher pila kar jana
Meri mitti ko bhi mitti mein mila kar jana

Tuesday, 7 November 2017

Na Miti Thi Na Miti Hai Na Mitegi URDU

Na Miti Thi Na Miti Hai Na Mite gi URDU
Chahne Walon Ke Honton Pe Rahegi URDU

Ye Zaban Wo Hai Jo Mahlon Mein Rahi Aan Ke Sath
Aur Mazdoor Ke Ghar Mein Bhi Rahi Shaan Ke Sath

ISHQ Ki Raah Ko Isne Kayi Raahi Bhi Diye
Sarhadon Ke Liye Jaanbaz Sipahi Bhi Diye

Jazba e Jung Ko Seenon Mein Jagaya Isne
Apne Bharat Ko Ghulami Se Chhraya Isne

Ye Zaban Jaise Usoolon Ki Zaban Lagti Hai
Aesi Dilkash Hai K Phoolon Ki Zaban Lagti Hai

Iske Nazdeek Na Hindu Na Musalman Koi
Jisne Apnaya Ise Pyar Se Uski Ye Hui

Ye Taassub Ke Andheron Ko Mita Deti Hai
Aandhiyon Mein Bhi Chiragh Apna Jala Deti Hai

Ja Ke Shaikh Ki Dahleez PaFan Ban Jaye
Poche Mandir Mein To Meera Ka Bhajan Ban Jaye

Ye To Hai Pyar Ki Pooja Ki Ebadat Ki Zaban
Ye To Hai Rooh Ki Dharkan Ki Mohabbat Ki Zaban

Is Zaban Ke Liye Seenon Mein Adawat Na Bharo
Ye Zaban Pyar Sikhati Hai Ise Pyar Karo

Is mein Hindi Ke Bhi Alfaz Hain Irani Bhi
Is mein Geeta Ke Bhi Alfaz Hain Quraani Bhi

Kon Kehta Hai Arab Se Ye Zaban Aayi Hai
Aur Is Desh Mein Gairon Ki Zaban Chhai Hai

Yahin Janmi Hai Yahin Isne Jawani Payi
Ganga Aur Jamna Ki Lahro Se Rawani Payi

Jis Tarah Bhi Rahe Isko To Yahin Rahna Hai
Hum ko URDU Ke Hareefon Se Yahi Kehna Hai

Apni Tahzeeb Ko Sansar Mein Ruswa Na Karo
Yani URDU Ko Mitane Ka Iradah Na Karo

Apni Pagri Ko Uchala Nahi Jata Logo
Ghar Se Beti Ko Nikala Nahi Jata Logo

Monday, 6 November 2017

Aaj baad muddat k Main ne usko dekha hei

Aaj baad mudat k
Main ne usko daikha hei
Woh zara nahi badli
Ab bhi apni aankhon mein
So sawal rakhti hei
Choti choti batoon par
Ab bhi khul k hansti hei
Ab bhi uske lehjay mein
Wohi khankhanahat hei
Woh zara nahi badli

Ab bhi uski palkon k
Saaye geelay rehte hein
Ab bhi uski sochon mein
Mera naam rehta hei
Ab bhi meri khatir woh
Ussi tarah he pagal hei
woh zara nahi badli

Aaj baad muddat k 
Main ne usko dekha hei
Tu mujhe bhi lagta hei
Main bhi uski chahat mein
Ussi tarah he pagal hon
Baad itni mudat k
Aur kuch nahi badla
JUZ HAMARE RASTON K
Aur kuch nahi badla

Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hon Abhi

Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hon Abhi
Phir Se Maqtal Ko Sanwaro K Main Zinda Hon Abhi

Ye Shab e Hijar To Sathi Hai Meri Barson Se
Jao So Jao Sitaro K Main Zinda Hon Abhi

Ye Preshan Se Gaisu Dekhe Nahi Jate
Apni Zulfon Ko Sanwaro K Main Zinda Hon Abhi

Lakh Mojon Mein Ghera Hon Abhi Dooba To Nahi
Mujh Ko Sahil Se Pukaro K Main Zinda Hon Abhi

Qabar Se Aaj Bhi MOHSIN Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Mere Yaro K Main Zinda Hon Abhi

Tanhai Urdu Poetry Images and SMS

If you find loneliness poetry in Urdu then you are right. If you are all alone and read some sad alone poetry Urdu wallpapers and Tanhai Poetry and loneliness Shayari then also you are right page. Here is the best page to get a real and great collection of Tanhai beautiful poetry in Urdu because they think it will work for their souls and hearts to change perfectly. So enjoy my best-designed

Saturday, 4 November 2017

beautiful Urdu Shayari Pics

pictures poetry

"Kyun malamat es qadar karty ho bai hasil hai yai,
.
Lag chuka ab chothna mushkil hai es ka dil hai yai"

Kabhi jo Deta tha jaan mujh par

Kabhi jo Deta tha jaan mujh par
Usi k dil mein khatak rahi hoon

Zamana bhatka hai teergi mein
Main roshni mein bhatak rahi hoon

Hamesha ek doosre k haq mein

Hamesha ek doosre k haq mein Dua karege ye tay howa tha
Milein k bichrein magar tumhi se wafa karenge ye tay howa tha

Kahin raho tum kahin rahein hum magar muhabbat rahegi qayam
Jo ye khata hai to umar bhar ye khata karenge ye tay howa tha

Udasiyan har ghari hon lekin hayat katon bhari ho lekin
Khatoot pholoon ki patiyon par likha karenge ye tay howa tha

Jahan mukaddar milaye ga ab wahan milege ye shart kaisi
Jahan mile the wahi hamesa mila karen ge ye tay howa tha

Lipat k ro lege jab milege gham apna apna bayan karege
Magar zamane se muskura kar mila karenge ye tay howa tha

Kisi k aanchal mein kho gaye tum batao kyun door ho gaye tum
K jaan dekar bhi haq wafa ka Ada karenge ye tay howa tha

Friday, 3 November 2017

Bas yehi soch k har bar manata hon usay

Meri hasrat k janazy ko uthany waly
Kitny be dard hain ye log zamany waly

Koi apna nahi matlab ki hai duniya sari
Ab kahan milty hain wo yar purany waly

Main dua go hoon sada neendein hon mubarik tujh ko
Hijar ka dard mujhe de k jagany waly

Bas yehi soch k har bar manata hon usay
Lot k aaty nahi rooth k jany waly

Hamary dil main kabhi jhaank k daikho to sahi
Kitny afsurda hain auron ko hansany waly

Thursday, 2 November 2017

Jhoot chere pe sajana nahi aaya mujh ko

Jhoot chere pe sajana nahi aaya mujh ko
Zindagi tujh ko batana nahi aaya mujh ko

Reh k duniya mein bhi seeki nahi duniya dari
Kar k ehsan jatana nahi aaya mujh ko

Duniya theater hai to nakam adakar hoon main
Koi kirdar nibhana nahi aaya mujh ko

Eik hi shaks ki khowaish mein raha sarkardan
Darbadar khak uraana nahi aaya mujh ko

Lutf to tab tha wo khud karta mohabbat mehsos
Keh kar ehsas dilana nahi aaya mujh ko

Kuch to ye dil bhi hai tanhai pasand aur is par
Umar bhar dost banana nahi aaya mujh ko

Tu samajta hai main tark e talluk se hoon khush
Rothne wale manana nahi aaya mujh ko

Sad Love Urdu Poetry Two Lines

You�re looking Sad Two Lines Poetry, 2 Lines Urdu Shayari and two line sad Shayari to update your Whatsapp status or just needed to send someone. The collection of 2 Lines Most Sad Love Urdu Poetry comes from your pain and sadness.
Here are some of the images that you can read and share with your Loved Ones. Make the world know how much pain in you and make it flow into the tears ever.
So, can�t

Wednesday, 1 November 2017

Adalat se bache lekin Khuda se bach nahi sakta

Adalat se bache lekin Khuda se bach nahi sakta
Koi gustakh e paigambar Saza se bach nahi sakta

Farishta Moat ka eik roz usko dhoond hi le ga
Kahin bhi ja k chop jaye Qaza se bach nahi sakta

Khamosh lab hain jhuki hain palkeen

Khamosh lab hain jhuki hain palkeen
dilon mein ulfat nayi nayi hai 
Abhi takalluf hai guftgoo mein 
abhi mohobat nayi nayi hai 

Abhi na aayegi nennd tum ko 
abhi na hum ko sukon mile ga 
abhi to dharke ka dil zeyada 
abhi ye chahat nayi nayi hai 

Bahar ka aaj pahla din hai 
chalo chaman mein tehl k aayen 
faza mein khushbo nayi nayi hai 
gulon pe rangat nayi nayi hai 

Jo khandani raees hain wo 
mizaaj rakhte hain narm apna 
tumhara lehja bata raha hai 
tumhari dolat nayi nayi hai 

zara sa Qudarat ne kya nawaza 
aa k baithy ho pehli saff mein 
abhi se urrny lagy hawa mein 
abhi to shohrat nayi nayi hai

1920 Evil Returns Poetry

1920 Evil Returns Poetry


Har waqt Har kahin hai...
bas wo yahin, nahe hai...
Dar sai dara dara hai,
Usko yaqeen nahe hai.
Wo chahta hai apna har gham kahin chop aana,
Par raah mai khara hai guzra hua zamana,
Khud hai wo baikhudi mai
Par janti hai wo os ko,
Paihchan khud ki gum hai,
paihchanti hai os ko,
os ny bhi koh deya hai khud ko,
to kya hua hai aik ajeeb sa
Apna ab os ko mil gaya hai...
Aihsaas aisa kyun hai,
Kya mujh mai khaas sa hai,
Kya mairy khali pan mai,
Koi aks dikh raha hai....