Here you will find all poetry collection. Get in touch with us and enjoy Urdu Poetry and Poems.
Monday, 29 January 2018
Monday, 15 January 2018
Kabhi Sahar To Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Kabhi Sahar To Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se
Mujhe Khabar Na Hui Aur Zamaana Jaate Howe
Nazar Bachaa Ke Tera Naam Le Gaya Mujh Se
Usse Ziada Zarorat Thi Ghar Basane Ki
Wo Aake Mere Dar o Baam Le Gaya Mujh Se
Bhala Kahan Koi Juz us ke Milne Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam Le Gaya Mujh Se
Bas Ik Lamhay Ke Sach Jhoot Ke Aiwz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le Gaya Mujh Se
Sunday, 14 January 2018
Aag Ho To Jalne Mein Der Kitni Lagti Hai
Aag Ho To Jalne Mein Der Kitni Lagti Hai
Barf Ko Pighalne Mein Der Kitni Lagti Hai
Chahe Koi Ruk Jaye Chahe Koi Reh Jaye
Qafilon Ko Chalne Mein Der Kitni Lagti Hai
Chahe Koi Jaisa Bhi Hamsafar Ho Sadiyon Se
Rasta Badalne Mein Der Kitni Lagti Hai
Ye To Waqt Ke Bas Mein Hai Ke Kitni Mohlat De
Warna Bakht Dhalne Mein Der Kitni Lagti Hai
Mom Ka Badan Lekar Dhoop Mein Nikal Aana
Aur Phir Pighalne Mein Der Kitni Lagti Hai
Soch Ki Zaminon Mein Raste Juda Hoon To
Door Ja Nikalne Mein Der Kitni Lagti Hai
Us ke nazdeek gham e tark e wafa kuch bhi nahin
Us ke nazdeek gham e tark e wafa kuch bhi nahin
Mutmayin aesa hai jese howa kuch bhi nahi
Ab to hathon ki lakeeren bhi mitti jati hain
Uss ko kho kar to mere pas raha kuch bhi nahi
Kal bicharna hai to phir ehd e wafa soch ke bandh
Abhi aaghaz e mohabbat hai gaya kuch bhi nahi
Main to is waste chop hoon ke tamasha na bane
Tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahi
Ae Shumaar Ankhein isi tarah bichaye rakhna
Jane kis waqt woh aa jaye pata kuch bhi nahi
Saturday, 13 January 2018
Hausla Haar Ke Bethoon Ga To Mar Jaon Ga
Manzilen lakh kathan ayen guzar jaon ga
Hausla Haar Ke Bethoon Ga To Mar Jaon Ga
chal rahe the jo mere sath kahan hain woh log
Jo yeh kehte the ke raste mein bikhar jaon ga
Darbadar hone se pehle kabhi socha bhi na tha
ghar mujhe raas na aaya to kidhar jaon ga
Yaad rakhe mujhe duniya teri tasveer ke sath
Rang aese teri tasveer mein bhar jaon ga
Lakh roken yeh andhere mera rasta lekin
Main jidhar roshni jaye gi udhar jaon ga
Raas aayi na mujhe mohabbat warna saqi
Main ne socha tha ke har dil mein utar jaon ga
Wednesday, 10 January 2018
Wo Jo Aa jate The Aankhon Mein Sitare Le Kar
Wo Jo Aa jate The Aankhon Mein Sitare Le Kar
Jane Kis Dais Gaye Khawab Humare Le Kar
Chaon Mein Bethne Wale Hi To Sub Se Pehle
Pair Girta Hai To Aa Jate Hain Aarey Le Kar
Wo Jo Aasoda Sahil Hain Inhain Kia Maloom
Ab K Mouj Aai To Palte Gi Kinara Le Kar
Aesa Lagta Hai Ke har Mosam- E-Hijran Mein Bahar
Hont Rakh Deti Hai Shakhon Par Tumhare Le Kar
Shehar Walon Ko Kahan Yaad Hai Wo Khawab Farosh
Phirta Rehta Tha Jo Galion Mein Ghubare Le Kar
Tum se roz kinara karna Kaise yaar gawara karna
Tum se roz kinara karna
Kaise yaar gawara karna
Chahe jaag ko tum rakh lena
Usko mehas hamara karna
Is dil ki to adaat tum ho
Har pal tumhain pokara karna
Tere bin ab reh nahi sakte
Hai dushwar guzara karna
Rakh doon ga main jaan qadmon mein
Bas tum eik ishara karna
Tum aankhon mein aan base ho
Ab to roz nazara karna
Tum hi ho jeene ki hasrat
Tum hi mujh ko sahara karna
Ab tere naam hai sab kuch
Ab kia roz tumhara karna
Tuesday, 9 January 2018
Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay
Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay
Hum teri ankh se hijrat nahi krne walay
Apne Nazdeek mohabat hai ibadat ki tarha
Hum ibadat ki tijarat nahi krne walay
Ye alag baat hai k izhaar nahi kar sakte
Ye na samjho mohabat nahi karne walay
Kaat kar phaink de sar chahe saja naizay par
Hum tere haath pe Baiat nahi karne walay
Hakim-e-waqt Zara apne Garebaan mein jhank
Log Bewajha Baghawat Nahi Karne Walay
Monday, 8 January 2018
Sunday, 7 January 2018
Tuesday, 2 January 2018
Sunday, 31 December 2017
Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Baat Samajh
Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Baat Samajh
Mujh Se Naraaz Na Ho Tu Mere Halaat Samajh
Meri Khuwahish Hai Tere Marmaren Rukhsaron ko
Main Har Ek Lamha Nigahon Mein Samaye Rakhon
Teri Aankhen Meri Aankhon k Maqaabil hi Rahein
Main Teri Maang Sitaron se Sajaye Rakhon
Tujh Se Gham Le k Tujhe De Doon Khushi ki Daulat
Tere Hoonton ko Jila Bakhshe Tabassum Tera
Khoob-Soorat Ho Teri Tarah Meri koi Ghazal
Mere Ash'aar ko Mil Jaaye Tarannum Tera
Jane kiyon phir Mujhe Duniya ka Khayaal Aata Hai
Jis Mein Farsooda Rawayat ki Zanjeren hain
Jisam Aazaad Hain Hum Sab k Ba-Zaahir Lekin
Qaid Mein Siskiyaan Leti Huwi Taqdiren Hain
Tu Hai Masoom Na Samjhe Gi Zamaane ka Chalan
Tujh ko Maloom Nahi Hain Yahaan Waalon ke Rawaaj
Main Bataata Hoon Tujhe Mujh Se Dam-e-Aakhir tak
Tujh Ko Milne Nahi De Ga ye Zamaana ye Samaaj
Is Liye Mujh ko Bhula De Yahi Behtar Hoga
Warna Tere Liye Andesha-e-Ruswaai Hai
Ye Alag Baat Rahoon Ga Main Sukoon se Mahroom
Main Ne Khud Apne Kiye Ki Ye Saza Paayi Hai
Tuesday, 26 December 2017
Jazbon ko meethi neend sula to nahi liya
Jazbon ko meethi neend sula to nahi liya
Phir apna-ap hum ne bhola to nahi liya
Zinda ho tum bhi tark e taluk k bawajod
Hum ne bhi apna-aap jala to nahi liya
Woh loat ke jab aaya to kehne laga hamain
Aankhon mein koi khawab saja to nahi liya
Kuch manzilein hain aur bhi rah-e-hayat mein
Jeevan isi gali mein lota to nahi liya
Arshad bhujhe bujhe se nazar aate ho aaj kal
Phir dil ko koi roog laga to nahi liya
Monday, 25 December 2017
Kahin be kinar se ratjage
Kahin be kinar se ratjage
Kahin zar nigar se khawab se
Tera kia asool hai zindagi
Tujhe kon iska hisab de
Jo bicha sakon tere waste
Jo saja sakon tere raste
Meri dastras mein sitare rakh
Meri muthiyon mein gulab de
Yeh jo khawishon ka parind hai
Ise mosamon se gharz nahin
Yeh urhe ga apni hi mouj mein
Ise aab de k saraab de
Tujhe chu liya to bharak uthe
Mere jism-o-jaan mein charagh se
Isi aag mein mujhe rakh ker
Isi shoulgi ko shabaab de
Kabhi yun bhi to ho, tere rubaru
Mein nazar mila k yeh keh sakon
Meri hasraton ko shumar ker
Meri khawishon ka hisab de
Teri ik nigah k faiz se
Mere kasht-e-harf chamak uthe
Mera lafz lafz ho kehkashan
Mujhe aik aisi kitaab de
Kuch Visal akhir tak Motbar nahi hote
Kuch Visal akhir tak Motbar nahi hote
Saath chalne wale bhi Hamsafar nahi hote
Tu hamari qurbat se kitna hi gureza ho
Hum tere thikane se bekhabar nahi hote
Kuch kahe bina aksar bolti hai Khamoshi
Ghuftagu ke sab Lamhe Harfgar nahi hote
Kitna khof hota hai shaam ke andhero mein
Pooch un parindo se jin ke ghar nahi hote
Umar bhar nahi milta wapsi ka darwaza
Aagahi ke zindan mein bam o dar nahi hote
Yeh Kab Kehti Hoon Tum Mere Galay Ka Haar Ho Jao
Yeh Kab Kehti Hoon Tum Mere Galay Ka Haar Ho Jao
Wahin Se Laut Jana Tum Jahan Se Bezaar Ho Jao
Mulaqaton Main Waqfa Is Liye Hona Zaroori Hai
Ke Tum Ik Din Judai Ke Liye Taiyaar Ho Jao
Bohat Jald Samajh Main Anay Lagte Ho Zamane Ko
Bohat Aasan Ho Thore Bohat Dushwaar Ho Jao
Balaa Ki Dhoop Se Aayi Hoon Mera Haal To Dekho
Bas Ab Aesa Karo Ke Tum Saaya-E-Deewaar Ho Jao
Abhi Parrhne Ke Din Hain Likh Bhi Lena Haal-E-Dil Apna
Magar Likhna Tabhi Jab Laayeq-E-Izhaar Ho Jao
Pyaar Lafzon Mein Kahan
pyar lafzon mein kahan in hindi pyar lafzon mein kahan full drama pyar lafzon mein kahan all episode pyar lafzon mein kahan serial pyaar lafzon mein kahan all episodes pyar lafzon mein kahan wiki pyar lafzon mein kahan episode pyar lafzon mein kahan on filmazia
Pyaar Lafzon Mein Kahan
Tu hi hai mera janoon
Tu hi hai mera sakoon
Tu hai mere mann ki justiju
Qasme waade tere
Saare sang hain mere
Tu hai mere dil ki aarzoo
Meri jaan main ne tujhe hi Rab se maanga
Teri judaai seh na paon
Tu hai mere jeene ki wajah
Tu hi hai mera sahaara
Tere bina ab reh na paon
Tu hai mere jeene ki wajah
Sach Hai
Pyaar Lafzon Mein Kahan
Yaadon mein tu hai
Tu hi meri saanson mein hai
Sapnon mein tu hai
Tu hi meri baaton mein hai
Aankhon mein tu hai
Tu hi mere khawabon mein hai
Tu mere dil ke sawalon ke jawabon mein
Sach Hai
Pyaar Lafzon Mein Kahan
Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 1 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 2 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 3 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 4 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 5 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 6 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 7 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 8 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 9 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 10 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 11 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 12 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 13 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 14 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 15 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 16 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 17 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 18 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 19 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 20 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 21 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 22 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 23 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 24 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 25 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 26 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 27 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 28 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 29 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 30 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 31 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 32 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 33 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 34 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 35 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 36 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 37 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 38 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 39 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 40 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 41 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 42 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 43 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 44 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 45 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 46 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 47 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 48 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 49 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 50
Sunday, 24 December 2017
Kisi ka lams kahan ab nishan chore ga
Kisi ka lams kahan ab nishan chore ga
Chala ke teer wo apni kamaan tore ga
Ho ae shehar se jis ko khof aata hai
Woh kaise gaon ka kacha makaan chore ga
Hazaar is k paron ko kutar k dekho tum
Parinda fikar kahan ab urran chore ga
Main janti hi nahi thi sadaqaton ka Aameen
Mere khilaf hi jhote bayan chore ga
Main tujh se mil ke bhi bichri hoi rahon gi ab
Ye tera hijr kahan meri jaan chore ga
Ye shiddatein bhi to aksar farab deti hain
Mera janoon hi mujhe benishan chore ga
Tawakouat ka aalam ajeeb tha mujh mein
Kahan tak woh mujhe badguman chore ga
Rubab Dour sahi par yaqeen e muhkam hai
Mujhe kabhi na Woh besaiban chore ga
Apne sab yaar kaam kar rahe hain
Apne sab yaar kaam kar rahe hain
Aur hum hain ke naam kar rahe hain
Tegh-baazi ka shauq apni jagah
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain
Daad-o-tehseen ka yeh shor hai kyun
Hum to khud se kalaam kar rahe hain
Hum hain masroof-e-intizaam magar
Jaane kya intizaam kar rahe hain
Hai woh bechaargi ka haal ke hum
Har kisi ko salaam kar rahe hain
Aik qataala chahiye hum ko
Hum yeh elaan-e-aam kar rahe hain
Na uthe aah ka dhuaan bhi ke woh
Ku-e-dil main khiraam kar rahe hain
Us ke honton pe rakh ke hont apne
Baat hi hum tamaam kar rahe hain
Hum ajab hain ke us ke kuchay main
Be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain
Akhri bar mil rahi ho kya
Gahe gahe bas ab yehi ho kya
Tum se mil kar bahot khushi ho kya
Mil rahi ho bary tapak ke sath
Mujh ko yaksar bhula chuki ho kya
Yaad hein ab bhi apne khawab tumhen
Mujh se mil kar udaas ho kya
Bas mujhe yon hi khyal aaya
Sochti ho to sochti ho kya
Ab meri koi zindagi hi nahin
Ab bhi tum meri zindagi ho kya
Kya kaha ishq javidani hai
Akhri bar mil rahi ho kya
Mery sab tanz be asar hi rahe
Tum bahot door ja chuki ho kya
Dil mein soz-e-intezar nahin
Sham-e-ummeed bujh gai ho kya
Haalat-E-Haal Ke Sabab, Haalat-E-Haal Hi Gayi
Haalat-E-Haal Ke Sabab, Haalat-E-Haal Hi Gayi
Shauq Mein Kuch Nahin Gaya. Shauq Ki Zindagi Gayi
Tera Firaaq Jaan-E-Jaan, Aish Tha Kya Mere Liye
Yani Tere Firaaq Mein, Khoob Sharaab Pee Gayi
Tere Wisaal Ke Liye, Apne Kamaal Ke Liye
Haalat-E-Dil Ke! Thi Kharaab, Aur Kharaab Ki Gayi
Ek Hi Haadisa To Hai, Aur Woh Yeh Ke Aaj Tak
Baat Nahin Kahi Gayi, Baat Nahin Suni Gayi
Bad Bhi Tere Jaan-E-Jaan, Dil Mein Raha Ajab Samaan
Yaad Rahi Teri Yahaan, Phir Teri Yaad Bhi Gayi
Us Ke Badan Ko Dee Numoo, Hum Ne Sukhan Mein Aur Phir
Us Ke Badan Ke Waaste, Ek Qaba Bhi See Gayi
Meena-Ba-Meena, Mai-Ba-Mai, Jam-Ba-Jaam
Naaf Peyaale Ki Tere, Yaad Ajab Sahi Gayi
Kehni Hai Mujh Ko Ek Baat, Aap Se, Ya�ni Aap Se
Aap Ke Shehr-E-Wasl Mein, Lazzat-E-Hijr Bhi Gayi
Sehn-E-Khayaal-E-Yaar Mein, Ki Na Basar Shab-E-Firaaq
Jab Se Woh Chaand Na Gaya, Jab Sey Woh Chaandni Gayi
Subscribe to:
Posts (Atom)
-
Hazar dukh mujhe dena magar khayal rahe Mere Khudaya mera hausla bahal rahe Aana ki jang mein hum jeet to gaye lekin Phir us ke bad bari dai...
-
Dil sabar ke mimbar par bithaya ke Khuda hai Aur sukar ko aezaz banaya ke Khuda hai Eik sajde se tabdil kia Shah ne manzar Tab Moat ne andaz...
-
Bichar ke rah-e-ishq mein is kadar howe tanha Thake tanha Giray tanha Uthe tanha Chale tanha
-
Mohsin meri lehad mein woh manzar ajeeb tha Jab mein ne khud Ali se kaha Ya Ali madad
-
pyar lafzon mein kahan in hindi pyar lafzon mein kahan full drama pyar lafzon mein kahan all episode pyar lafzon mein kahan serial pyaar laf...