Yeh Kab Kehti Hoon Tum Mere Galay Ka Haar Ho Jao
Wahin Se Laut Jana Tum Jahan Se Bezaar Ho Jao
Mulaqaton Main Waqfa Is Liye Hona Zaroori Hai
Ke Tum Ik Din Judai Ke Liye Taiyaar Ho Jao
Bohat Jald Samajh Main Anay Lagte Ho Zamane Ko
Bohat Aasan Ho Thore Bohat Dushwaar Ho Jao
Balaa Ki Dhoop Se Aayi Hoon Mera Haal To Dekho
Bas Ab Aesa Karo Ke Tum Saaya-E-Deewaar Ho Jao
Abhi Parrhne Ke Din Hain Likh Bhi Lena Haal-E-Dil Apna
Magar Likhna Tabhi Jab Laayeq-E-Izhaar Ho Jao
No comments:
Post a Comment