Sunday, 24 December 2017

Zindagi kis tarha basar hogi

Sar hi ab phoriye nadamat mein
Neend aane lagi hai furqat mein

Hain daleelen teray khilaaf magar
sochta hun teri himayat mein

Rooh ne ishq ka fareeb diya
jism ko jism ki adawat mein

Ishq ko darmyaan na laao ke mein
Cheekhta hun badan ki usrat mein

Ab faqat aadaton ki warzish hai
Rooh shaamil nahi shikayat mein

Apne hujray ka kya bayaaN ke yahan
khoon thooka gaya shararat mein

Woh khala hai ke sochta hun mein
Us se kya guftugoo ho khalwat mein

Yeh kuchh asaan to Nahin hai ke hum
RooThty ab bhi hain murawat mein

Woh jo taameer hony wali thi
Lag gai aag us imarat mein

Zindagi kis tarha basar hogi
Dil Nahi lag Raha Mohabbat mein

No comments:

Post a Comment