Kisi ka lams kahan ab nishan chore ga
Chala ke teer wo apni kamaan tore ga
Ho ae shehar se jis ko khof aata hai
Woh kaise gaon ka kacha makaan chore ga
Hazaar is k paron ko kutar k dekho tum
Parinda fikar kahan ab urran chore ga
Main janti hi nahi thi sadaqaton ka Aameen
Mere khilaf hi jhote bayan chore ga
Main tujh se mil ke bhi bichri hoi rahon gi ab
Ye tera hijr kahan meri jaan chore ga
Ye shiddatein bhi to aksar farab deti hain
Mera janoon hi mujhe benishan chore ga
Tawakouat ka aalam ajeeb tha mujh mein
Kahan tak woh mujhe badguman chore ga
Rubab Dour sahi par yaqeen e muhkam hai
Mujhe kabhi na Woh besaiban chore ga
No comments:
Post a Comment