Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Baat Samajh
Mujh Se Naraaz Na Ho Tu Mere Halaat Samajh
Meri Khuwahish Hai Tere Marmaren Rukhsaron ko
Main Har Ek Lamha Nigahon Mein Samaye Rakhon
Teri Aankhen Meri Aankhon k Maqaabil hi Rahein
Main Teri Maang Sitaron se Sajaye Rakhon
Tujh Se Gham Le k Tujhe De Doon Khushi ki Daulat
Tere Hoonton ko Jila Bakhshe Tabassum Tera
Khoob-Soorat Ho Teri Tarah Meri koi Ghazal
Mere Ash'aar ko Mil Jaaye Tarannum Tera
Jane kiyon phir Mujhe Duniya ka Khayaal Aata Hai
Jis Mein Farsooda Rawayat ki Zanjeren hain
Jisam Aazaad Hain Hum Sab k Ba-Zaahir Lekin
Qaid Mein Siskiyaan Leti Huwi Taqdiren Hain
Tu Hai Masoom Na Samjhe Gi Zamaane ka Chalan
Tujh ko Maloom Nahi Hain Yahaan Waalon ke Rawaaj
Main Bataata Hoon Tujhe Mujh Se Dam-e-Aakhir tak
Tujh Ko Milne Nahi De Ga ye Zamaana ye Samaaj
Is Liye Mujh ko Bhula De Yahi Behtar Hoga
Warna Tere Liye Andesha-e-Ruswaai Hai
Ye Alag Baat Rahoon Ga Main Sukoon se Mahroom
Main Ne Khud Apne Kiye Ki Ye Saza Paayi Hai