Sunday, 31 December 2017

Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Baat Samajh

Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Baat Samajh 
Mujh Se Naraaz Na Ho Tu Mere Halaat Samajh 

Meri Khuwahish Hai Tere Marmaren Rukhsaron ko 
Main Har Ek Lamha Nigahon Mein Samaye Rakhon 
Teri Aankhen Meri Aankhon k Maqaabil hi Rahein 
Main Teri Maang Sitaron se Sajaye Rakhon 

Tujh Se Gham Le k Tujhe De Doon Khushi ki Daulat 
Tere Hoonton ko Jila Bakhshe Tabassum Tera 
Khoob-Soorat Ho Teri Tarah Meri koi Ghazal 
Mere Ash'aar ko Mil Jaaye Tarannum Tera 

Jane kiyon phir Mujhe Duniya ka Khayaal Aata Hai 
Jis Mein Farsooda Rawayat ki Zanjeren hain 
Jisam Aazaad Hain Hum Sab k Ba-Zaahir Lekin 
Qaid Mein Siskiyaan Leti Huwi Taqdiren Hain 

Tu Hai Masoom Na Samjhe Gi Zamaane ka Chalan 
Tujh ko Maloom Nahi Hain Yahaan Waalon ke Rawaaj 
Main Bataata Hoon Tujhe Mujh Se Dam-e-Aakhir tak 
Tujh Ko Milne Nahi De Ga ye Zamaana ye Samaaj 

Is Liye Mujh ko Bhula De Yahi Behtar Hoga 
Warna Tere Liye Andesha-e-Ruswaai Hai 
Ye Alag Baat Rahoon Ga Main Sukoon se Mahroom 
Main Ne Khud Apne Kiye Ki Ye Saza Paayi Hai

Tuesday, 26 December 2017

Jazbon ko meethi neend sula to nahi liya

Jazbon ko meethi neend sula to nahi liya
Phir apna-ap hum ne bhola to nahi liya

Zinda ho tum bhi tark e taluk k bawajod
Hum ne bhi apna-aap jala to nahi liya

Woh loat ke jab aaya to kehne laga hamain
Aankhon mein koi khawab saja to nahi liya

Kuch manzilein hain aur bhi rah-e-hayat mein
Jeevan isi gali mein lota to nahi liya

Arshad bhujhe bujhe se nazar aate ho aaj kal
Phir dil ko koi roog laga to nahi liya

Tujh ko diyar e ghear ki ab o hawa pasand

Tujh ko diyar e ghear ki ab o hawa pasand

Main kia karon k mujh ko hai Karbala pasand

Monday, 25 December 2017

Kahin be kinar se ratjage

Kahin be kinar se ratjage
Kahin zar nigar se khawab se

Tera kia asool hai zindagi
Tujhe kon iska hisab de

Jo bicha sakon tere waste
Jo saja sakon tere raste

Meri dastras mein sitare rakh
Meri muthiyon mein gulab de

Yeh jo khawishon ka parind hai
Ise mosamon se gharz nahin

Yeh urhe ga apni hi mouj mein
Ise aab de k saraab de

Tujhe chu liya to bharak uthe
Mere jism-o-jaan mein charagh se

Isi aag mein mujhe rakh ker
Isi shoulgi ko shabaab de

Kabhi yun bhi to ho, tere rubaru
Mein nazar mila k yeh keh sakon

Meri hasraton ko shumar ker
Meri khawishon ka hisab de

Teri ik nigah k faiz se
Mere kasht-e-harf chamak uthe

Mera lafz lafz ho kehkashan
Mujhe aik aisi kitaab de

Kuch Visal akhir tak Motbar nahi hote

Kuch Visal akhir tak Motbar nahi hote
Saath chalne wale bhi Hamsafar nahi hote

Tu hamari qurbat se kitna hi gureza ho
Hum tere thikane se bekhabar nahi hote

Kuch kahe bina aksar bolti hai Khamoshi
Ghuftagu ke sab Lamhe Harfgar nahi hote

Kitna khof hota hai shaam ke andhero mein
Pooch un parindo se jin ke ghar nahi hote

Umar bhar nahi milta wapsi ka darwaza
Aagahi ke zindan mein bam o dar nahi hote

Yeh Kab Kehti Hoon Tum Mere Galay Ka Haar Ho Jao

Yeh Kab Kehti Hoon Tum Mere Galay Ka Haar Ho Jao
Wahin Se Laut Jana Tum Jahan Se Bezaar Ho Jao

Mulaqaton Main Waqfa Is Liye Hona Zaroori Hai
Ke Tum Ik Din Judai Ke Liye Taiyaar Ho Jao

Bohat Jald Samajh Main Anay Lagte Ho Zamane Ko
Bohat Aasan Ho Thore Bohat Dushwaar Ho Jao

Balaa Ki Dhoop Se Aayi Hoon Mera Haal To Dekho
Bas Ab Aesa Karo Ke Tum Saaya-E-Deewaar Ho Jao

Abhi Parrhne Ke Din Hain Likh Bhi Lena Haal-E-Dil Apna
Magar Likhna Tabhi Jab Laayeq-E-Izhaar Ho Jao

Pyaar Lafzon Mein Kahan

pyar lafzon mein kahan in hindi pyar lafzon mein kahan full drama pyar lafzon mein kahan all episode pyar lafzon mein kahan serial pyaar lafzon mein kahan all episodes pyar lafzon mein kahan wiki pyar lafzon mein kahan episode pyar lafzon mein kahan on filmazia

Pyaar Lafzon Mein Kahan

Tu hi hai mera janoon
Tu hi hai mera sakoon
Tu hai mere mann ki justiju 

Qasme waade tere
Saare sang hain mere
Tu hai mere dil ki aarzoo

Meri jaan main ne tujhe hi Rab se maanga
Teri judaai seh na paon
Tu hai mere jeene ki wajah

Tu hi hai mera sahaara
Tere bina ab reh na paon
Tu hai mere jeene ki wajah

Sach Hai
Pyaar Lafzon Mein Kahan

Yaadon mein tu hai
Tu hi meri saanson mein hai
Sapnon mein tu hai
Tu hi meri baaton mein hai
Aankhon mein tu hai
Tu hi mere khawabon mein hai
Tu mere dil ke sawalon ke jawabon mein

Sach Hai
Pyaar Lafzon Mein Kahan

Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 1 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 2 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 3 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 4 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 5 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 6 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 7 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 8 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 9 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 10 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 11 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 12 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 13 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 14 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 15 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 16 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 17 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 18 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 19 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 20 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 21 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 22 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 23 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 24 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 25 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 26 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 27 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 28 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 29 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 30 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 31 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 32 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 33 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 34 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 35 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 36 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 37 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 38 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 39 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 40 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 41 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 42 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 43 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 44 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 45 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 46 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 47 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 48 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 49 Pyaar Lafzon Mein Kahan Episode 50


Sunday, 24 December 2017

Kisi ka lams kahan ab nishan chore ga

Kisi ka lams kahan ab nishan chore ga
Chala ke teer wo apni kamaan tore ga

Ho ae shehar se jis ko khof aata hai
Woh kaise gaon ka kacha makaan chore ga 

Hazaar is k paron ko kutar k dekho tum
Parinda fikar kahan ab urran chore ga

Main janti hi nahi thi sadaqaton ka Aameen
Mere khilaf hi jhote bayan chore ga

Main tujh se mil ke bhi bichri hoi rahon gi ab
Ye tera hijr kahan meri jaan chore ga

Ye shiddatein bhi to aksar farab deti hain
Mera janoon hi mujhe benishan chore ga

Tawakouat ka aalam ajeeb tha mujh mein
Kahan tak woh mujhe badguman chore ga

Rubab Dour sahi par yaqeen e muhkam hai
Mujhe kabhi na Woh besaiban chore ga

Apne sab yaar kaam kar rahe hain

Apne sab yaar kaam kar rahe hain
Aur hum hain ke naam kar rahe hain

Tegh-baazi ka shauq apni jagah
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain

Daad-o-tehseen ka yeh shor hai kyun
Hum to khud se kalaam kar rahe hain

Hum hain masroof-e-intizaam magar
Jaane kya intizaam kar rahe hain

Hai woh bechaargi ka haal ke hum
Har kisi ko salaam kar rahe hain

Aik qataala chahiye hum ko
Hum yeh elaan-e-aam kar rahe hain

Na uthe aah ka dhuaan bhi ke woh
Ku-e-dil main khiraam kar rahe hain

Us ke honton pe rakh ke hont apne
Baat hi hum tamaam kar rahe hain

Hum ajab hain ke us ke kuchay main
Be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain

Akhri bar mil rahi ho kya

Gahe gahe bas ab yehi ho kya
Tum se mil kar bahot khushi ho kya

Mil rahi ho bary tapak ke sath
Mujh ko yaksar bhula chuki ho kya

Yaad hein ab bhi apne khawab tumhen
Mujh se mil kar udaas ho kya

Bas mujhe yon hi khyal aaya
Sochti ho to sochti ho kya

Ab meri koi zindagi hi nahin
Ab bhi tum meri zindagi ho kya

Kya kaha ishq javidani hai
Akhri bar mil rahi ho kya

Mery sab tanz be asar hi rahe
Tum bahot door ja chuki ho kya

Dil mein soz-e-intezar nahin
Sham-e-ummeed bujh gai ho kya

Haalat-E-Haal Ke Sabab, Haalat-E-Haal Hi Gayi

Haalat-E-Haal Ke Sabab, Haalat-E-Haal Hi Gayi
Shauq Mein Kuch Nahin Gaya. Shauq Ki Zindagi Gayi

Tera Firaaq Jaan-E-Jaan, Aish Tha Kya Mere Liye
Yani Tere Firaaq Mein, Khoob Sharaab Pee Gayi

Tere Wisaal Ke Liye, Apne Kamaal Ke Liye
Haalat-E-Dil Ke! Thi Kharaab, Aur Kharaab Ki Gayi

Ek Hi Haadisa To Hai, Aur Woh Yeh Ke Aaj Tak
Baat Nahin Kahi Gayi, Baat Nahin Suni Gayi

Bad Bhi Tere Jaan-E-Jaan, Dil Mein Raha Ajab Samaan
Yaad Rahi Teri Yahaan, Phir Teri Yaad Bhi Gayi

Us Ke Badan Ko Dee Numoo, Hum Ne Sukhan Mein Aur Phir
Us Ke Badan Ke Waaste, Ek Qaba Bhi See Gayi

Meena-Ba-Meena, Mai-Ba-Mai, Jam-Ba-Jaam
Naaf Peyaale Ki Tere, Yaad Ajab Sahi Gayi

Kehni Hai Mujh Ko Ek Baat, Aap Se, Ya�ni Aap Se
Aap Ke Shehr-E-Wasl Mein, Lazzat-E-Hijr Bhi Gayi

Sehn-E-Khayaal-E-Yaar Mein, Ki Na Basar Shab-E-Firaaq
Jab Se Woh Chaand Na Gaya, Jab Sey Woh Chaandni Gayi

Tumhara Hijar Mana Lon Agar Ijazat Ho

Tumhara Hijar Mana Lon Agar Ijazat Ho
Mein Dil Kisi Se Laga Lon Agar Ijazat Ho

Tumhare Bad Bhala Kia Hai Wada-O-Paiman
Bas Apna Waqt Ganwa Lon Agar Ijazat Ho

Tumhari Hijar Ki Shab HayeKar Mein Jana
Koi Charagh Jala Lon Agar Ijazat Ho

Janoon Wohi Hai Wohi Main Magar Hai Shehr Niya
Yahan Bhi Shoor Macha Lon Agar Ijazat Ho

Kaisi Hai Khawahish Marham Gire K Magar Phir Bhi
Main Apne Zakham Dekha Lon Agar Ijazat Ho

Tumhari Yaad Mein Jeene Ki Aarzo Hai Abhi
Kuch Apna Haal Sanbhalon Agar Ijazat Ho

Zabt kar ke hansi ko bhool geya

Zabt kar ke hansi ko bhool geya
Main to us zakhm hi ko bhool geya
Zaat-dar-zaat hamsafar reh kar
Ajnabi ajnabi ko bhool geya

Subh tak vajh-e-jaan-kani thi jo baat
Main usay shaam hi ko bhool geya
Ehd-e-vabastagi guzaar ke main
Vajh-e-wabastagi ko bhool geya

Sab daleelen to mujhe ko yaad rahin
Behss kya thi ussi ko bhool geya
Kyun na ho naaz is zehaanat par
Ek main har kisi ko bhool geya

Sab se pur-amn waqiya hai yeh
Aadmi aadmi ko bhool geya
Qehqaha maarte hi deewana
Har gham-e-zindagi ko bhool geya

Kya qayamat hui agar aik shakhs
Apni khush-qismati ko bhool geya
Sab buray mujh ko yaad rehte hain
Jo bhalaa tha usi ko bhool geya

Us se waada to kar liya lekin
Apni kam-fursati ko bhool geya
Bastiyo ab to rasta dedo
Ab to main us gali ko bhool geya

Us ne goya mujhi ko yaad rakha
Main bhi goya usi ko bhool geya
Yaani tum woh ho waqeyi. Hadh hai
Main to sach-much sabhi ko bhool geya

Ab to har baat yaad rehti hai
Ghaliban main kisi ko bhool geya
Us ki khushiyon se jalne wala Jaun
Apni Eza-dahi ko bhool geya

Koi Halat Nahi Ye Halat Hai

Koi Halat Nahi Ye Halat Hai
Ye To Ashob Nak Soorat Hai
Anjuman Mein Ye Meri Khamoshi
Burdbar Nahi Hai Wehshat Hai

Tanz Peraya Tabassum Mein
Is Takalluf Ki Kya Zarurat Hai
Tujh Se Ye Gah Gah Ka Shikwa
Jab Talak Hai Basa Ghanimat Hai

Garam Joshi Or Is Qadar Kya Baat
Kyt Tumhen Mujh Se Kuch Shikayat Hai
Tu Bhi Ae Shakhs Kya Kare Aakhir
Mujh Ko Sar Phorne Ki Adat Hai

Ab Nikal Aao Apne Andar Se
Ghar Mein Saman Ki Zarurat Hai
Hum Ne Jana To Hum Ne Ye Jana
Jo Nahi Hai Wo Khubsoorat Hai

Khwahishen Dil Ka Saath Chor Gayin
Ye Aziyat Bari Aziyat Hai
Log Masroof Jante Hain Mujhe
Yaan Mera Gham Hi Meri Fursat Hai

Aaj Ka Din Bhi Aesh Se Guzra
Sar Se Paa Tak Badan Salamat Hai

Zindagi kis tarha basar hogi

Sar hi ab phoriye nadamat mein
Neend aane lagi hai furqat mein

Hain daleelen teray khilaaf magar
sochta hun teri himayat mein

Rooh ne ishq ka fareeb diya
jism ko jism ki adawat mein

Ishq ko darmyaan na laao ke mein
Cheekhta hun badan ki usrat mein

Ab faqat aadaton ki warzish hai
Rooh shaamil nahi shikayat mein

Apne hujray ka kya bayaaN ke yahan
khoon thooka gaya shararat mein

Woh khala hai ke sochta hun mein
Us se kya guftugoo ho khalwat mein

Yeh kuchh asaan to Nahin hai ke hum
RooThty ab bhi hain murawat mein

Woh jo taameer hony wali thi
Lag gai aag us imarat mein

Zindagi kis tarha basar hogi
Dil Nahi lag Raha Mohabbat mein

Umar Guzregi Imtihan Mein Kya

Umar Guzregi Imtihan Mein Kya
Daagh Hi Denge Mujh Ko Daan Mein Kya

Meri Har Baat Be Asar Hi Rahi
Nuqs Hai Kuch Mere Bayan Mein Kya

Mujh Ko To Koi Tokta Bhi Nahin
Yehi Hota Hai Khandan Mein Kya

Apni Mehroomiyan Chupate Hain
Hum Gharibon Ki Aan Ban Mein Kya

Khud Ko Jana Juda Zamane Se
Agaya Tha Mere Gumaan Mein Kya

Yoon Jo Takta Hai Aasman Ko Tu
Koi Rehta Hai Aasman Mein Kya

Hai Naseem e Bahar Gard Alood
Khak Urti Hai Us Makan Mein Kya

Ye Mujhe Chen Kyun Nahi Parta
Ek Hi Shakhs Tha Jahan Mein Kya

Sham Hi Se Dukan e Deed Hai Band
Nahin Nuqsan Tak Dukan Mein Kya

Ae Mere Subah o Sham Dil Ki Shafaq
Tu Nahati Hai Ab Bhi Baan Mein Kya

Bolte Kyun Nahi Mere Haq Mein
Aable Par Gaye Zaban Mein Kya

Khamoshi Keh Rahi Hai Kaan Mein Kya
Araha Hai Mere Gumaan Mein Kya

Dil Ko Aate Hain Jis Ke Dhiyaan Boht
Khud Bhi Aata Hai Apne Dhiyaan Mein Kya

Wo Mile To Ye Puchna Hai Mujhe
Ab Bhi Hun Main Teri Amaan Mein Kya

Wednesday, 20 December 2017

Sister and Brother Love Quotes in Urdu

Here are the best Sister and Brother Love Quotes in Urdu with images and Best Sister Shayari. We essentially feel our sister�s words. We do fun with her often. We become comfortable with her success too. It would greatest special day for us when we play with our sister. Our life would be perforating with sisters. Below you will find Sister and Brother Love Quotes in Urdu share these with friends

Tuesday, 19 December 2017

Best Sister Shayari With Dua in Urdu,Hindi

Loving sister is a mercy of Allah. I love you sister is a beautiful line which gives us the comfort of life when we say our sister that we love her. Doing more loveable and to see some sister love after we should try sending some beautiful and great Shayari for sister in English whenever she call us or when there is something special. Get free Dua Sister Shayari Pics to your best and loving and

Monday, 18 December 2017

Aaj Kisi Ne Dil Tora To Hum Ko jaise dhiyan Aaya

ab kia soche kia hona hai
jo hoga acha ho ga

pehle socha hota pagal 
ab rone se kia hoga

yaar se ghum keh kar to khush ho
lekin tum yeh kia jano
tum dil ka rona rote the
wo dil mein hansta hoga

Aaj Kisi Ne Dil Tora To
Hum Ko jaise dhiyan Aaya

Jis Ka Dil Hum Ne Tora Tha
Wo Jane Kaisa Ho Ga 

mere kuch pal mujh ko de do
baki sare din logo
tum jaisa jaisa kehte ho
sab wesa wesa hoga

Sunday, 17 December 2017

Two Line Sad Poetry Pics,SMS

Romance isn�t the only connection to love you should be seeing for. If you restrict yourself to just one kind of love and you�re not ready to find it, that�s when you start feeling mistake.
Here is the great Two Line Sad Poetry with best images and SMS to express your sadness or want to help make your connection again in just only two lines with your friends and others on social media sites and

Abhi Kuch Roz Baqi Hain December Beet Jane Mein

Abhi Kuch Roz Baqi Hain December Beet Jane Mein
Abhi Kuch Waqt Baqi Hai Naya Phir Saal Aane Mein


Chalo Aisa Karen Hum Tum Gile Shikwe Jo Rehte Hain
Hamesha Darmiyan Apne  Kiyon Na Khatam Kar Dalen


Naye Wade Nayi Qasmen Nayi Umeed Hum Baandhen
Naye Andaz Se Jeewan Ka Ek Ek Rukh Badal Dalen


Dilon Mein Hai Kadorat Jo
Hum Us Ko Khatam Kar Dalen

Tum Pocho Aur Main Na Bataon Aise To Halaat Nahi

Tum Pocho Aur Main Na Bataon Aise To Halaat Nahi
Aik Zara Sa Dil Toota Hai Aur To Koi Baat Nahi

Kis Ko Khabar Thi Sanwle Badal Bin Barse Urr Jate Hain
Sawan Aaya lekin Apni Qismat Mein Barsat Nahi

Toot Gaya Jab Dil To Phir Ye Sans Ka Naghme K Kia Maani
Goonj Rahi Hai Kiyon Shehnai Jab Koi Barat Nahi

Ghum K Andhere Mein Tujh Ko Apne Sathi Kiyon Samjhon
Tu Phir Tu Hai Mera To Saya Bhi Mere Sath Nahi

Mana Jeewan Mein Aurat Aik Bar Mohabbat Karti Hai
Lekin Mujh Ko Ye Bata De Kia Tu Aurat Zaat Nahi

Khatam Howa Mera Afsana Ab Ye Aansoo Ponch Bhi Lo
Jis Mein Koi Taara Chamke Aaj Ki Raat Wo Raat Nahi

Mere Gumgeen Hone Par Ahbab Hain Youn Hairan Qateel 
Jaise Main Pathar Hon Mere Seene Mein Jazbat Nahi

Saturday, 16 December 2017

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Wahin Khilte To Acha Tha

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Wahin Khilte To Acha Tha
Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha Tum Hi Milte To Acha Tha

Koi Aa Kar Hamein Pooche Tumhein Kaise Bhulaya Hai
Tumhare Khat Ko Ashkon Se Shab E Gham Mein Jalaya Hai

Hazaron Zakham Aise Hain Agar Silte To Acha Tha
Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha Tum Hi Milte To Acha Tha

Tumhein Jitna Bhulaya Hai Tumhari Yaad Aayi Hai
Bahar E Noh Jo Aayi Hai Teri Khushbo Bhi Layi Hai

Tumhare Lab Meri Khatir Agar Hilte To Acha Tha
Tum Hi Ko Hum Ne Chaha tha Tum Hi Milte To Acha Tha

Mila Hai Lutf Bhi Hum Ko Haseen Yaadon Ki Jhilmil Mein
Kati Hai Zindagi Tum Bin Magar Ek Aas Hai Dil Mein

Agar Aate To Acha Tha. Agar Milte To Acha Tha
Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha Tum Hi Milte To Acha Tha

Inspirational Quotes in Urdu With Islamic Images

Searching for some really amazing and perfect Inspirational Quotes in Urdu? if yes then here I am sharing my best ever and most expecting Urdu quotes with images with you which you can now read on this page without giving anything. If you happened really in search of these inspirational Islamic quotes in Urdu then you may defiantly like them.
Let�s scroll down and read some of the excellent and

Monday, 11 December 2017

Very Sad Poetry in Urdu Images

sad poetry images in Urdu new awesome designed Images and sad poetry for lovers are updated here on this page. If you are on Facebook or Twitter, it�s possible you have read many of this So sad poetry in Urdu in the article, or at smallest seen some of them in your timeline. Here is my greatest and most expecting lovely best sad poetry about love collection for you.
Now you can keep scrolling for

Wednesday, 6 December 2017

Dil ko reh reh ke ye andeshe darane lag jayen

Dil ko reh reh ke ye andeshe darane lag jayen
Wapsi mein usay mumkin hai zamane lag jayen

So nahi payen to sone ki duayen mangen
Neend aane lage to khud ko jagane lag jayen

Uss ko dhondhen usay aik baat batane ke liye
Jab woh mil jaaye to woh baat chupane lag jayen

Har december ussi vehshat mein guzaara ke kahin
Phir se aankhon main tere khawb na aane lag jayen

Itni takheer se mat mil ke hamein sabar aa jaye
Aur phir hum bhi nazar tujh se churane lag jayen

Jeet jaayen gi hawayen ye khabar hote huwe
Tez aandhi mein charaghon ko jalane lag jayen

Tuesday, 5 December 2017

Urdu Sad Poetry With Beautiful English Text

Here I,m taking in the biggest ever collection of Urdu Sad Poetry images with having awesome Shayari on them. Well, I know that you are now searching for the Urdu poetry in English words on Google and other search engines and also doing on your Facebook profiles and Twitter # search over. We all know that time we got our feelings sad at those moments where we got our minds broke and that